labour card oline apply |
CSC New Project NDUW
CSC ne bahut bada Project start kar diya hai jiska naam hai NDUW (National Database of Un-organized Workers) yahan kafi sare log fayda utha sakte hain. Basically jo lgo chhote mote kaam karte hain jinke paas worker/labour card kuch bhi nahi hain to unka naam yahan NDUW Portal me registered hoga or Govt. ka jitna bhi facility hoga unko milega.
Read More: SBI E-Mudra Loan Apply
NDUW Kya hai ?
Govt. ke adesh ke anusar India ki jitne bhi Un-organised workers hain jinka naam abhitak register nahi hua hai or unke paas kuch bhi pehchan nahi hai un-organised hain bolke to unke liye hi khas taur par ek Database taiyar ki jaa rahi hai. Isme un sabhi logon ka registration hoga or unko ek ek card diya jayega. Jaise aapke paas Aadhar Card hai thik wese hi ek Card jisme 12 digit ka ek unique no. bhi hoga.
labour card oline apply |
Iskya kya Fadya hoga ?
Is Database ready karne ke baad Samajik Surakhsya Schemes ko lagu kiya jayega. Isme jo logon ka Registration hoga wo PM Surakshyam Bima le payenge. 12 rupaye ki Premium unke liye ek year tak maaf kiya jayega.
Website Link: Click Here
Eligibility Criteria ?
Niche apko 4 points di gayi hai jinko padhkar aap jaan sakte hain hain inka eligibility criteria kya hai ?
1- Age 16 se 59 hona chahiye.
2- Agar wo Income Tax pay karte hain to unka yahan Registration nahi ho payega.
3- EPFO or ESIC ka member nahi hona chahiye.
4- wo ek un-organized worker hona chahiye.
Documents Required
1- Mobile No. (Lekin dhyan rahen jo Mobile Number enter karenge us Mobile Number me apna Aadhar Card linkage hona chahiye.
2- Valid Bank Account
Website Link: Click Here
Yahan apko left corner me CSC Login ka ek option tha lekin abhi hide kar diya gaya hai. Unde maintenance hai, lekin jinke paas CSC id nahi hai wo log Self Registration form fill karke aage badhenge. kaise karenge kaise fill up karenge complete process practically meine video me dikha chuka hun, niche Video link hai kindly watch full video.
Or jinke paas CSC ID hain wo bhi yahan Self Registration par click karke kar sakte hain lekin CSc k taraf se jo Rs.20/- commission milne wala tha wo nahi milega. Commission ke liye aapko wait karna hoga.
Full process practically dekhna hai to niche ek video ka link hai dekh sakte hain.
0 Comments