Zero Balance Account Opening Online - Union Bank of India Zero Balance Account Opening Online

 

zero balance account opening online, union bank of india zero balance account opening online,
zero balance account opening online

Aajkal har ek ke paas Saving Bank Account agar na ho to kafi sari muskile ati hai. Jab apko jarurat ho ya fir kahin se paise ata hai to us time apke paas ek Saving Bank Account to hone hi chahiye, nahi to apne relatives, friends unke account aap dete ho. Lekin agar aap FREE me zero balance ka account khud ke liye open karo to kaise rahega. To is Article ko pura padhiye apko pata chalega kaise aap Union Bank of India apna ek Saving Bank Account open kar sakte hain.

Abhi Union Bank of India me Saving Bank Account Zero Balance ka open karna pehle se or bhi easy ho chuka hai. Agar apke paas computer, laptop, pc nahi hain to daren nahi kyun ki sirf agar apke paas ek Android Mobile bhi hoga tab bhi aap Union Bank of India ma Zero Balance ka ek Saving Bank Account open kar sakte hain. 

Sabse pehle Official Website par aana hai.

Website Link: Click Here

 

zero balance account opening online, union bank of india zero balance account opening online,
zero balance account opening online

Click karte hi we website open ho jayega. Niche apko Click here ka ek Link hoga udhar click karna hai.

zero balance account opening online, union bank of india zero balance account opening online,
zero balance account opening online


Abhi apko apne personal details dekar is form ko continue karna hai. Next ek or page ayega jisko apko firse fill up karke final submit karna hoga. Ek baar apne successfully submit karlenge to apko ek PDF file mil jayega us PDF File ko download karna hai or print out bhi karna hai. Uske baad apko us form me signature karna hai or sath hi jo documents ka no. aapne online fill up karte samay dala hai jaise Aadhar Card, Pan Card etc. to aapko in sabka ek ek xerox karna hai fir us application form jo aapne print out kiye hain uske sath attached karna hai or 2 passport size photograph ko bhi attached karne ke baad apne nearest koi bhi Union Bank of Indian Branch me visit karna hai. Jaakar apko wahan submit karna hai. Lekin dhyan rahe ye sabhi documents apko 30 dino ke andar submit karna hoga. 

Agar apko koi dikkat ati hai is bich ya fir apko isliye practically video ki talash me hain to niche ek video ka link hai. Jaake dekhlena (Note: kuch ghante me upload ho jayega.)

Post a Comment

0 Comments