Ekart Logistics Franchise Apply l Flipkart Delivery Agency Franchise kaise le 2021

Aaj kal Online Shopping ka craz bahut hi jyada badh chuka hai. Kisi ko bhi shoes, dress, shirt, paint, electronics products, kitchen products etc. or mobile , smartphone cover, glass eise hi bahut sare products ko log abhi offline shop jaake purchase karna pasand nahi kar rahe hain, bus phone uthaya order kiya 2 din baad saman hajir. 

To kyun na hum apko iske regarding ek Business bataden jo apko mahine me ek achha khasa kamai bhi ho jaye. To aaj hum baat karne wale hain Ekart Logistics Franchise ke bare me. Darhasal Ekart ek Logistics service hai. Jo bhi aap saman magate hain wo Ekart ke through hi ata hai. Ye ek India based company hai. Iska main branch Bangalore Karnataka me hai. Ekart India ka sabse bada (largest) logistic product delivery company hai. 

Abhi Flipkart ke bare me to bache bache ko pata hai. Flipkart ek bahut badi shopping company hai jahan se log lakho ki tadad me saman magate hain or use karte hain. Bahut lambe samay se Flipkart apne work me stand hai. To Flipkart me jitna order hota hai wo sab Ekart k dwara delivered hota hai. Ekart ek mahine me karib 10 million (1 lakhs) products logon ke gharon tak delivered karta hai. 

To agar aap bhi Ekart courier ka Franchise / Flipkart ka Delivery Agency lena chahte hain to pura Article padh kar jaan sakte hain or sath me discuss karenge agar ye service ko aap lena chahte hain to kya kya documents apke paas hona chahiye or kya hai iska complete eligibility conditions sab kuch discuss karenge.


Eligibility:-
1. Ek Room kam se kam 300-500 square foot size ka hona jaruri hai.
2. Candidates ko 10th class paas hona jaruri hai.
3. Unki age kam se kam 21 saal hona chahiye.
4. Kam se kam 2-3 delivery boy ka arrangement karna hoga.
5. Unko apne taraf se kuch investment bhi karna hoga.  
   

 

Documents Requirement:-
1. Proof of Identity me aapko Adhar Card nahi to Pan Card submit karna hoga.
2. Jahan pe aap business karoge wo agar khud ki jamin hai to Land Proof or agar kisi or ki jamin hai to Agreement submit karna hoga.
3. Property Address Proof (Electricity Bill)
4. Cancel Cheque (one peice)
5. Minimum 6 month bank statment.

 

Machinery Parts Requirement:-
1. Computer, Printer, Scanner, Bar Code Scanner
2. Internet Connection (Internet ka speed achha hona chahiye)
3. Packaging Tape or Shipping label
4. Electricity or Inverter Facility for continuious electricity (Lagatar work karne ke liye apko inverter ka jugad bhi karna hi hoga.
5. Apka room kaunsi type ki hogi e-kart courier guideline ke hisab se apko batatya jayega.
6. Security purpose ke liye CCTV camera hona chahiye
7. Apko ek vehicle bhi rakhna hoga

(Agar aapko ye sab machine ka online purchase karna hai to humare Telegram Channel par sare ka link meine post kardiya hun, jaake online purchase kar sakte hain Join our Telegram Channel: https://t.me/techmeher)

 

E-kart Courier Franchise Investment:-
1. Kamse kam apko 1.5 se 2.5 lakhs tak investment karna hoga.
2. Apko Rs.50,000/- ka security deposit dena hoga for Area Zone
3. Apko Rs.1,00,000/- ka security deposit dena hoga for District
4. Area Zone Franchise ke liye apko Vehicle rakhne ki jarurat nahi hai.


Commission

Commission change hota rahta hai, depend karega kaunsi type ki product aapne delivered kiye ho. Generally very 2% - 10% of Article Cost.


Ekart Delivery Business karne ka benefits
1. Ye sabse tez service hai.
2. India ka sabse bada or bharose wala logistic company hai.
3. Ye apko 24/7 service dete hain.
4. E-kart sabhi poster, banner, business card, format printing ye sab provide karta hai.
5. Abhi ek din me bhi delivery dena possible hai.
6. Kam investment karke high return le sakte hain.
7. Isme apko practical training dete hain Experts ke dwara.
8. India ki kisi bhi cone se aap apply kar sakte ho.
9. Har transaction ke upar apko achha commission mil jata hai.


How to Apply for Franchise ?

Aapko apni sari documents ko scan karke ek achha se ek letter likh kar send karna hoga is mail id par (hulk-central-team@flipkart.com).  Abhi main baat hai aap letter kis tarah se likhenge ? Maine already ek sample letter banaliya hun apke subidha ke liye to wo letter apko milega humara Telegram ke channel par Word file me upload kar diya hun. (Join our Telegram Channel: https://t.me/techmeher)

Toll Free Number: 1800 208 9898 / 1800 208 1888 / 18004201111


Office Address
Ekart Logistrics Registered Office Address
Brigade manae Court, First Floor,
No.111, Koramangala Industrial Layout,
Bangaore-560095, Karnataka, India


******************************************************************************************

Post a Comment

12 Comments