Post Office Agent Kaise Bane l Post Office Agent Commission l How to get Post Office Agent ID

 Doston apko pata hai chaho to aap ghar beithe thoda sa dimag lagakar kam mehenat ke mahine bhar me lakho rupaye kama sakte wo bhi bilkul bhi genuine tarike se. Aapko isme Govt. help karega or apko govt. ka ye scheme ko hi fayda uthake aap itna sara rupya kama sakte hain. Jo logon isi field me jana hai unke liye ek sunehra mauka hai.


 

Aaj hum baat karne wale hain Post Office Agent ke bare me. Aap ek Post Office ka Agent bankar sirf ek Scheme RD (Recurring Deposit) isme bhi sirf work karenge to aap mahine me itne paise kama sakte hain. To chaliye jante hain isme apko kis tarah se apply karna hai, Documents kya lagega, Commission kitna milega or apko kitne dino tak paisa milta rahega or apko kaam kitne ghante karna hai details me samajhte hain.

 

Iska naam hai MPKBY Agent:-

Jab bhi koi admi paise invest karne ki sochta hai to sabse pahle uske mind me Post Office ka hi naam ata hai. Chahe wo garib ho fir Amir. Kyun ki sabko pata hai Post Office ek Govt. Office hai or yahan apko koi bhi Risk nahi hai. Bank ke mukabale bhi Post Office aage hai. To yahan agar aap ek Agent banenge to apko kamai kitna hoga pehle baat karte hain.

 

Commission:

Apko RD (Recurring Deposit) me 4% ka Commission milta hai jo ki bahut hi jyada achha hai. Me apko ek Example se samjhta hun taaki apko puri tarah se samajh me aa jaye.

Example: Agar aap 100 logon ka RD Account (Recurring Deposit) open karte hain to apka Total Saving Amount jo apko deposit karna hoga wo hoga Rs.6 Lakhs per month. or 4% ke hisab se apko mahine me Rs.24000/- tak fayda ho skata hai. 

Chaliye agar apko paiso ki jyada jarurat hai or apko mahine tak wait nahi karni to koi baat nahi aap har din bhi apna commission le sakte hain.

Example: 

Agar kis din aap 30 RD ka sirf paise jama karte hain Rs.2 Lakhs to aapka Commission banega Rs.8000/- jo ki aap usi din le sakte hain.

Agar kis din aap 20 RD ka sirf paise jama karte hain Rs.1 Lakhs to aapka Commission banega Rs.4000/- jo ki aap usi din le sakte hain.

To is tarah se aap daily bhi apna commission katke deposit kar sakte hain or ye Govt. ka Rule bhi hain.


Agency Lene ke baad Apko Kya Karna Hoga ?

Mere hisab se agar isme apko utna jyada mehnat kana nahi padega kyun ki sabko Post Office k bare me pata hai ki kabhi nahi dubega or apna paisa wo Post Office ko chhodkar kahin bhi rakhen wo safe nahi rahega. Iske liye apko Customers dhundne ke liye taqlif uthana nahi padega. 

Post Office ek Risk FREE Govt. Organisation hai jo sabhi logon ko pata hai apko sabko batane ki jarurat nahi padegi. Yahan jitni bhi Services provide ki jaat hai sabhi ke sabhi genuine or trusted hote hain. Ek baar aap kisi customers ko RD Account open karne ke liye convince kar lete ho to apko iska fayda 5 saal tak milta rahega. 

 

Post Office ka Agency lene ke liye Documents kya kya Deposit karna hoga ?

1- Minimum Qualifications: 10th Class Pass

2- Residence Certificate

3- Income Certificate

4- Passport Size Photographs ( 4 copie3s)

5- National Saving Certificate (NSC) of Rs. 1000/-

6- Aadhar Card Self

7- Aadhar Card of Guarantor


National Saving Certificate kahana banana hoga or Kya documents deposit karna hoga ?

National Saving Certificate banwalene ke liye apne nearest koi bhi Post Office me jaakar apply kar sakte hain iske liye apko Aadhar Card, Pan Card or Passport Size Photographs submit karna hoga.


How to Apply ?

Sabhi documents ka ek File banakar aapko sidhe jana hoga apne Dist. ke Collectorate Office. Wahan najdik me ek hoga Small Saving Officer ka Office. Apko wahan par jaake sara documents ko depost karna hoga. Lekin wahan jaake apko BPKBY Agent Application Form mangna hai or sara fill karne ke baad sare documents ko attached kariye or wahan deposit kar dijiye. 

Ye Service sirf Female ke liye hai isliye aap apne Maa, Behen, Friends ke naam se apply kariye. 

Jab Aap Application Form deposit karenge wahan par ek Column hota hai ki aap ye kaam kaunse Post Office me karna hai to aaap apne nearest koi bhi ek Post Office ka naame de sakte hain. Sara kuch complete hone ke baad apko ek Agency Code or Praman Patra milega. To Application Form me jo aapne Post Office ka naam diya tha, usi post office ke Post Master ko aap wahi Agency Code or Praman Patra Submit karna hoga. 

Yahan aapko bina pressure ke kaam hota hai. Aapko yahan koi bhi Target nahi diya jata. Apne marji se aap yahan par kaam kar skate hain.

Agar aapko details me janna hai to niche diye gaye Video ko dekhkar practically jaan sakte hain.



 

Post a Comment

1 Comments