How to Link Mobile Number in Aadhar Online |
Abhi aap Aadhar Card se Mobile Number ko bina kahin jaye ghar beithe beithe Link kar skate hain. Aaj kal Aadhar Card se Mobile No. linkage na ho to bahut sare pareshani ka samna karna padta hai. Or bahut sare facilities bhi nahi milti kyun ki aaj kal sabhi process online hi hota hai to verification ke liye humara Aadhar Card ke sath Mobile Number linkage hona compulsory hai.
Aaj me jo process dikhane wala hun ye process aap ghar beithe apne Mobile se bhi kar skate hain.
Sabse pehle apko ek Website par jana hoga.
Website Link: Click here
How to Link Mobile Number in Aadhar Online |
Jaise hi aap link par click karenge Government ki Official Website par aa jayenge. Yahabn apko Doorstep Banking ka ek Link hoga, wahan click karna hai.
How to Link Mobile Number in Aadhar Online |
Fir se ek page open hone ke baad apko us page me niche ana hoga. Yahan apko ek Financial Services ka ek Heading hai yahan apko clearly likha hai Mobile Number Update in Aadhar.
Abhi samajhte hain kaise hum ghar beithe humare Aadhar Card ke sath Mobile No. ko link kara skate hain. Darhasal iske liye apko ek Online Request dalna hoga or request dalte hi IPPB ki Team apke ghar par apke Aadhar Card se Mobile No. ko linkage karne ke liye ayenge. Bas sirf apka ek hi nahi jitne log Online se hi request karenge un sabke ghar jayenge. To abhi samjho apko 1st August 2021 se hi request dal sakte hain. Isliye apko 1st Aug 2021 hote hi request dalkar apne Aadhar Card se Mobile No. ko linkage kar skate hain.
Iske bare me practically video dekhna hai to humara Youtube Channel par visit kar sakte hain.
Channel Link: Click here
0 Comments