Post Office Franchise 2021 l Post Office Agency l Standardised Agency System (SAS) Apply Full Process (Hindi)

 

Post Office Franchise 2021, Post Office Agency, Standardised Agency System (SAS) Apply Process,
Post Office Franchise 2021

Post Office Franchise (Standardized Agency System) Apply Full Process:

Agar aapko bhi Post Office ka Commision Agent bankar mahine me lakho rupaye kamana hain to apko ye Article kafi madad karega. Yahan apko ye Agency lene ke baad kya kya kaam karna hai, Qualification kitna hona chahiye, Income kitna hoga, Eligibility kya hai or Sabse important baat yahan aap kaise apply karenge me complete process batane wala hun.

Post Office ek eisa Office Govt. ka jahan log aankh band karke apna mehnat kamai ko saving karte hain or invest karne ke liye agree ho jate hain. Agar aap Post Office ki Commision ban jante hain to apko customers ko convince karne ke liye jyada kuch mehenat nahi karna padega. 

 

Post Office Franchise 2021, Post Office Agency, Standardised Agency System (SAS) Apply Process,
Post Office Franchise 2021

Eligibility:

Yahan koi bhi apply kar sakta hai, both Male or Female. Jiska Age 18 se jyada hona chahiye or wo ek Indian Citizen hona chahiye.

Qualification:

1- 10th Pass

2- Character Certificate issued within 3 months latest under any Gazated Officer.

3- Residence Certirficate

4- Passport size photographs

5- NSC (National Saving Certificate) of Rs.1000/- 

NSC (National Saving Certificate) apko apne nearest Post Office me hi jaake banwana hoga. Apko apna Aadhar Card, Pan Card or Passport size photographs ko submit karne ke baad Rs.1000/- bhi pay karna hai fir aapka Certificate ban jayega.

 

Post Office Franchise 2021, Post Office Agency, Standardised Agency System (SAS) Apply Process,
Post Office Franchise 2021

Jo log pehle se hi Agent ka kaam kar rahe hain jaise LIC Agent, GIC Agent wo bhi yahan apply kar sakte hain.

Income:

Yahan apko kafi jyada income milega. Jitna customers investment karenge FD ke through to aapko sara paisa ka 0.5% ke hisab se milega. For example: Rs.10 Lakhs FD karane par apko Rs.5000/- milega.

Post Office Franchise 2021, Post Office Agency, Standardised Agency System (SAS) Apply Process,
Post Office Franchise 2021

How to Work:

Yahan aapka kaam bahut hi simple hai. Bas apko customers ko dhundna hoga FD me invest karne ke liye. Kyun ki ye Post Office hai isliye apko jyada kuch mehenat nahi karna padega. Post Office ka jikr karte hi customers agar unke paas paisa invest karne ke liye hoga to wo jarur karenge. Kyun ki Post Office me full security ke sath paisa rahta hai. Yahan aap Kishan Vikash, National Saving Scheme, Monthly Income and Time Deposit inhi 4 schems ke andar hi sara paisa ko FD ki tour par deposit kar sakte ho.

How to Apply:

Is Agency ko aapko apply karne ke liye koi bhi Online Link nahi hai jahan se click karke aap online se hi agency me apply kar sakte hain. Ise apply karne ke liye apko Offline par hi jana hoga.

Apko visit karna hoga DM ki Campus me. District & Magistrate ke Office ke aas paas hi ek Officer hote hain jo ki Dist. Small Saving Officer kahte hain. Wahan apko ek form milega SAS Agency Application Form. Form me apna personal details apko fill up karna hoga or sath me kaunsa Post Office me aap work karna chahte hain wahan ek coloum hoga jo ki apko mention karna hoga. Iske baad aapko sara documents jaise apna 10th Certificate, Character Certificate, Residence Certificate, Passport Photos or NSC (National Saving Certificate) ko attached karna hoga us SAS Agency Application Form ke sath.

Kuch din baad apka ek Licencse generate hoga. us Licencse ki ek copy ko apne Post Master ke paas submit karna hoga jis post office me apko work karna hai. Fir apka kaam suru kar sakte hai. Yahan apko koi limit nahi hai income ki. Jitna achha kaam karenge utna hi achha apko kamai karne ka mauka milega.

SAS (Standarlized Agency System) Application Form Download Link: Click Here

(Apko ye post pasand aya to share kariye or kuch doubt ho to niche comments kariye)

 

 

Post a Comment

0 Comments