How to know about Fake Website - How to Spot a Fake or Scam Website - How to knwo about Fraud Portal

Kafi sare times me hume bahut sare websites par visit karna padta hai jaise ki shopping karte samay ya fir koi Financial Website hai to wahan apna personal details bhi enter karna padta hai. Or jo log koi computer shop khule hain wo log AEPS ID ke chakkar me aapke fake or scam website me apna registration kar beith te hain or NATIZA unka kafi Loss hota hai. Is Article me aap jaanenge kaise aap pata laga payenge ki jo website par aap visit ya fir register kar rhe hain wo website genuine nahi hain fraud hai. Meine apke suvidha ke liye kuch Points bana diye hain niche padhkar bachiye or apne friends or relatives ko bachaiye fake or scam website se.

how to spot a fake or scam website, how to know about fake website, How to knwo about Fraud Portal,
How to know about Fake Website

 

Step #1: Attention to the Address Bar (Address Bar ko Dhyan se dekhen)

how to spot a fake or scam website, how to know about fake website, How to knwo about Fraud Portal,
How to know about Fake Website

 

Pehle to aap Address Bar par najar dalen ki website ki suruat https:// se hui hai ya nahi ? S (https) ka matlab secure hota hai. Jahan http hota hai wo fake or fraud list me aate hain but https hota hai to wo website puri tarike se secure hota hai wahan us portal me aap transaction kar skate hain.

Step #2: Check the Domain Name (Domain Name ko Achhe se Check karen)

how to spot a fake or scam website, how to know about fake website, How to knwo about Fraud Portal,
How to know about Fake Website


Fraud log bade brand ko target karte hain for example Amazon ka website k name pe agar wo apna website set karenge to kuch is tarike se kar sakte hain:- amazoon.net, aamazon.net AmaZun.net eise to aap domain ko thoda dhyan se dekhen.

Step #3: Watch for Poor Grammar and Spelling

how to spot a fake or scam website, how to know about fake website, How to knwo about Fraud Portal,
How to know about Fake Website


Website badha chadha kar likhna, jo likha hua hai uska grammatical mistake hona ye bhi ek bada nisan hota hai fraud walon ko pehchanne ka. Kyun ki genuine website jyada nahi likhte hain kam likhte hain or sahi likhte hain isliye aap thoda najar gada kar check karlen. 


Step #4: Contact Information, Toll FREE No., Mobile No. (Contact Section)

how to spot a fake or scam website, how to know about fake website, How to knwo about Fraud Portal,
How to know about Fake Website


Contact Page me agar 1800-543-XXX is tarike ka no. available nahi hain to thoda gaur se dekhlen, Wahan Mobile Nos. hi hoga or E-mail bhi hoga wo bhi kisi person ka so aap ise andaza laga sakte hain. Kuch Fraud website me to Live chat ka b option hota hai jahan aapko actually me apke questions ka answer milta hai wo sab pre-load hota hai. Only agar mobile no. hain to bhi apko darna jaruri hai.. he he mazak tha, but haan mobile no. ko thoda seriously len agar Toll FREE No. kiye hain to wo fraud hone ka chance ko khatm karta hai or genuine kuch had tak badh jata hai. 

Step #5: Use only Secure Payment Options:- (Humesha secure payment hi karen) 

how to spot a fake or scam website, how to know about fake website, How to knwo about Fraud Portal,
How to know about Fake Website


Shopping websites jyada tar Credit Card, Debit Card, Net Banking, Paypal eise options dete hain but agar wahan aap Wire Transfer, Money Order or unsecured payment option milta hai to aapko payment karne se pehle 100 baar sochna hai fir payment karna hai.

Step #6: Big Disocunt (80%) ha ha Fasna Mat

how to spot a fake or scam website, how to know about fake website, How to knwo about Fraud Portal,
How to know about Fake Website


Kuch companies apko Discounts ka lalach dekar bhi fake portal me lete hain jaise aaj kal to har kisi ke paas Facebook hai to wo kya karte hain fraud fb page bana lete hain or wahan achhe se ek picture design karte hain with mentioned big discount on sale. Kuch time to apko ek mobile 500 rs me milega eisa offers ate hain but wo sab fraud hote hain aapko lalchate hain apne website me lene ke liye so dhyan de ye bhi.

Step #7: After get ID the Services are totally un-use

how to spot a fake or scam website, how to know about fake website, How to knwo about Fraud Portal,
How to know about Fake Website


Agar aap kisi AEPS ID ya fir koi Banking ID lete hain jahan apko transactions karna hota hai to jyada tar eise hi website hi fraud nikalti hai. Wo log kya karte hain pehle customers ko lalchakar id sale karte hain fir jab aap transactions chalu karenge to apna company band karke rafu chakkar ho jate hain is liye jo bhi id chalane se pehle aap upar diye gaye 6 tips ko follow karen.
 
Or khas taur par jab bhi aap koi bhi AEPS ID lete hain or koi bhi service agar properly work nahi kar rha to aap thoda thahar jana. Kyun ki wo sirf main service ke upar dhyan dete hain. Lekin jo website pura secure hota hai to sabhi service ko chalu karne ki kousis karte hain or koi service nahi chal rha hai Notifications me bata dete hain ya fir wahan jaise hi jayenge kisi ko bhi pata chal jata hai.
 

Don't be FOOL - Be Empowered 

Post a Comment

0 Comments